Ansuo ka kya, kabhi bhi nikal jate hai,
Kabhi begano k apnepan se,
To kabhi apno k beganepan se.
Kabhi begano k apnepan se,
To kabhi apno k beganepan se.
----------------------------------------------------------------
Bahut hai aasan zindagee k sare kirdar nibhana,
Bas asaliyat me jeena padta hai,
Kabhi hansna to kabhi rona padta hai,
Kabhi paraye hote apne to kabhi apno ko khona padta hai,
Kabhi sapno me jagna to kabhi jagte jagte sona padta hai!
------------------------------------------------------------------
Aaj fir mil gayee wo beech bazar me,
Shayad khadee thi kisi k intezar me,
Puchh baitha us se fir ek baar main,
Kya aaj bhi pagal hai tu mere pyaar me,
Akulayee see khadi rhi wo jaise fansee ho majhdhar me,
Fir boli wo, kyu milte hai zakhm humesha sachche pyaar me,
Kya nahi hai aur koi gum is sansar me,
Na Jane kyu ruk jaati hoo isi mod pe har baar main,
Shayad yehi hai kismat meri k khush rahu tere intezar me!
-------------------------------------------------------------------
जब भी वो मेरे साथ होती है ,
खुशनुमा दिन ,
और हसीन रात होती है,
शीतल उसका स्पर्श ,
और शहद सी हर बात होती है ,
अमावस सी बिछडन,
और पूनम सी मुलाकात होती है,
जब भी वो मेरे साथ होती है ,
खुशनुमा दिन ,
और हसीन रात होती है l
No comments:
Post a Comment